gum-sum  havā  ke  peḌ  se  lipTā  huā  huuñ  meñ
katbe  pe  apne  haath  se  likkhā  huā  huuñ  maiñ
āñkhoñ  meñ  vasvasoñ  kī  na.ī  niiñd  bas  ga.ī
so  jā.ūñ  ek  umr  se  jaagā  huā  huuñ  maiñ
yārab  ragoñ  meñ  ḳhuun  kī  hiddat  nahīñ  rahī
yā  karb  kī  salīb  pe  laTkā  huā  huuñ  maiñ
apnī  bulandiyoñ  se  girūñ  bhī  to  kis  tarah
phailī  huī  fazāoñ  meñ  bikhrā  huā  huuñ  maiñ
patte  gire  to  aur  bhī  aaseb  ban  ga.e
vo  shor  hai  ki  ḳhud  se  bhī  sahmā  huā  huuñ  maiñ
shāḳhoñ  se  TūTne  kī  sadā  duur  tak  ga.ī
mahsūs  ho  rahā  hai  ki  TuuTā  huā  huuñ  maiñ
vo  aag  hai  ki  saarī  jaḌeñ  jal  ke  rah  ga.iiñ
vo  zahr  hai  ki  phuul  se  kāñTā  huā  huuñ  maiñ
kaTte  hue  tane  kā  bhī  nochā  gayā  libās
gir  kar  zamīñ  pe  aur  bhī  rusvā  huā  huuñ  maiñ
'afzal'  maiñ  sochtā  huuñ  ye  kyā  ho  gayā  mujhe
miTTī  milī  to  aur  bhī  chaTḳhā  huā  huuñ  maiñ