āġhāz  huā  hai  ulfat  kā  ab  dekhiye  kyā  kyā  honā  hai
yā  saarī  umr  kī  rāhat  hai  yā  saarī  umr  kā  ronā  hai
shāyad  thā  bayāz-e-shab  meñ  kahīñ  iksīr  kā  nusḳha  bhī  koī
ai  sub.h  ye  terī  jholī  hai  yā  duniyā  bhar  kā  sonā  hai
tadbīr  ke  hāthoñ  se  goyā  taqdīr  kā  parda  uThtā  hai
yā  kuchh  bhī  nahīñ  yā  sab  kuchh  hai  yā  miTī  hai  yā  sonā  hai
TuuTe  jo  ye  band-e-hayāt  kahīñ  is  shor-o-shar  se  najāt  mile
maanā  ki  vo  duniyā  ai  'afsar'  sirf  ek  lahad  kā  konā  hai