log hañsne ke liye rote haiñ akasr dahr meñ
talḳhiyāñ ḳhud hī milā lete haiñ mīThe zahr meñ
pyaar ke chashmoñ kā paanī jab se khārā ho gayā
saarī duniyā ghir ga.ī hai nafratoñ ke qahr meñ
vaqt kahtā hai ubharte Dūbte chehroñ ko dekh
aaj to raunaq baḌī hai hādsoñ kī nahr meñ
jaane ye hiddat chaman ko raas aa.e yā nahīñ
aag jaisī kaifiyat hai ḳhushbuoñ kī lahr meñ
ham ne palkoñ par sajā rakhe haiñ ashkoñ ke charāġh
ek mela sā lagā hai raushnī ke shahr meñ
chand āvāzeñ ta.āqub meñ haiñ 'afzal' aaj bhī
qurbatoñ kā shahd hai tanhā.iyoñ ke zahr meñ