Afzal Minhas

log hansne ke liye rote hain akasr dahr mein

Afzal Minhas

Chakwal, Punjab, Pakistan

1923-1997

log hañsne ke liye rote haiñ akasr dahr meñ

talḳhiyāñ ḳhud milā lete haiñ mīThe zahr meñ

pyaar ke chashmoñ paanī jab se khārā ho gayā

saarī duniyā ghir ga.ī hai nafratoñ ke qahr meñ

vaqt kahtā hai ubharte Dūbte chehroñ ko dekh

aaj to raunaq baḌī hai hādsoñ nahr meñ

jaane ye hiddat chaman ko raas aa.e nahīñ

aag jaisī kaifiyat hai ḳhushbuoñ lahr meñ

ham ne palkoñ par sajā rakhe haiñ ashkoñ ke charāġh

ek mela lagā hai raushnī ke shahr meñ

chand āvāzeñ ta.āqub meñ haiñ 'afzal' aaj bhī

qurbatoñ shahd hai tanhā.iyoñ ke zahr meñ

Top Urdushayar.com