pahlī  sī  chāhatoñ  ke  vo  manzar  nahīñ  rahe
āshiq  to  be-shumār  haiñ  dilbar  nahīñ  rahe
is  ahd-e-nau  meñ  aur  to  sab  kuchh  milā  magar
sharm-o-hayā  ke  qīmtī  zevar  nahīñ  rahe
ye  phuul  ye  charāġh  ye  tāroñ  kā  qāfila
sab  kuchh  hai  tere  ḳhvāb  ke  paikar  nahīñ  rah
dil  ke  nagar  meñ  qaid  haiñ  chāhat  kī  bulbuleñ
vo  mausam-e-bahār  ke  manzar  nahīñ  rahe
laa.ī  thī  jitnī  sīpiyāñ  sab  bāñjh  ho  ga.iiñ
hairān  huuñ  kisī  meñ  bhī  gauhar  nahīñ  rahe
maiñ  ne  'nigār'  sāñseñ  bhī  kar  diiñ  thī  jin  ke  naam
vo  ek  pal  ko  bhī  mire  ho  kar  nahīñ  rahe