Nigar Azeem

junun-e-dil ka abhi tarjuman baqi hai

Nigar Azeem

junūn-e-dil kā abhī tarjumān baaqī hai
laboñ pe mohr lagī hai zabān baaqī hai
ga.ī rutoñ kā abhī tak nishān baaqī hai
galī meñ ek shikasta makān baaqī hai
na pochhiye abhī unvāñ mire fasāne kā
ye ibtidā hai abhī dāstān baaqī hai
Dubo diyā thā kabhī jis ko tund tūfāñ ne
usī safīne kā ik bādbān baaqī hai
hazār baar zamāne ne karvaTeñ badlīñ
hamāre sar pe vahī āsmān baaqī hai
ik āshiyāne pe bijlī girī to ronā kyā
hamāre vāste saarā jahān baaqī hai
'nigār' ḳhāna-e-dil meñ basī hai vīrānī
makīñ chalā gayā lekin makān baaqī hai
Top Urdushayar.com