Hafeez Shahid

ek qabile se hain lekin rang-o-naqsha aur hai

Hafeez Shahid

ik qabīle se haiñ lekin rañg-o-naqsha aur hai

aur hai kāñToñ duniyā gul duniyā aur hai

ishtirāk-e-fikr ho kaise hamāre darmiyāñ

terī ḳhvāhish aur hai merī tamannā aur hai

aur manzar hai duniyā sar-e-tūr-e-nazar

chashm-e-dil ke sāmne lekin tamāshā aur hai

aarzū ke bahr-o-dariyā kahānī kyā kahūñ

is sāhil aur hai is kinārā aur hai

dekhnā tūfān meñ ghir kar na rah jaa.e kahīñ

nāḳhudā ye ārzuoñ safīna aur hai

ab badalnā paḌegā ye tarīq-e-zindagī

ab mirī jaañ sūrat-e-hālāt-e-duniyā aur hai

dushmanoñ haath is meñ hai na yāroñ qusūr

inqitā-e-dostī shāḳhsāna aur hai

zindagī ke moḌ par 'shāhid' mileñ phir kis tarah

us rasta muḳhtalif hai merā rasta aur hai

Top Urdushayar.com