Hafeez Shahid

sar-e-ashjar tahrir hawa achchhi nahin lagti

Hafeez Shahid

sar-e-ashjār tahrīr havā achchhī nahīñ lagtī
hameñ patjhaḌ meñ gulshan kī fazā achchhī nahīñ lagtī
galī-kūchoñ pe ye kaisā sukūt-e-marg taarī hai
fazā-e-shahr-e-be-saut-o-sadā achchhī nahīñ lagtī
pas-e-tasvīr ho jab ek rañg-e-ātish-o-āhan
tirī tasvīr ai duniyā zarā achchhī nahīñ lagtī
vahī hai bhuuk ahl-e-zar kī lekin log kahte haiñ
bharā ho peT to koī ġhizā achchhī nahīñ lagtī
ta.ajjub hai hameñ un par jinheñ apne gulistāñ kī
zamīñ achchhī nahīñ lagtī fazā achchhī nahīñ lagtī
adhūrā hai abhī zauq-e-tamāshā-e-jamāl apnā
koī sūrat sar-e-shahr-e-vafā achchhī nahīñ lagtī
kare kyā chāragar aise marīzoñ kā jinheñ 'shāhid'
ilaaj achchhā nahīñ lagtā davā achchhī nahīñ lagtī
Top Urdushayar.com