Hafeez Shahid

wo mujh mein tha nihan main dekhta kya

Hafeez Shahid

vo mujh meñ thā nihāñ maiñ dekhtā kyā

pas-e-dīvār-e-jāñ maiñ dekhtā kyā

kitāb-e-zindagī zer-e-nazar thī

hadīs-e-dil-barāñ maiñ dekhtā kyā

mujhe chalnā thā apne rāste par

niahān-e-raftgāñ maiñ dekhtā kyā

nazar meñ thā vo mahtāb-e-tamannā

jamāl-e-kahkashāñ maiñ dekhtā kyā

fanā zad pe thā bāzār-e-duniyā

yahāñ sūd-o-ziyāñ maiñ dekhtā kyā

mirī āñkheñ bharī thiiñ āñsuoñ se

sar-e-shahar-e-fuġhāñ maiñ dekhtā kyā

Thikānā thā mirā dasht-e-junūñ meñ

ḳhirad bastiyāñ maiñ dekhtā kyā

mirī majbūriyāñ bhī kam nahīñ thiiñ

tirī majbūriyāñ maiñ dekhtā kyā

use jab imtihāñ lenā nahīñ thā

nisāb-e-imtihāñ maiñ dekhtā kyā

mirī parvāz thī 'shāhid' falak par

zamīñ pastiyāñ maiñ dekhtā kyā

Top Urdushayar.com