Sadiya Safdar Saadi

durun-e-chashm har ek KHwab mar raha hai bas

Sadiya Safdar Saadi

Safdarabad, Punjab, Pakistan

1986
durūn-e-chashm har ik ḳhvāb mar rahā hai bas
hamāre paas yahī āj-kal bachā hai bas
tirī talab thī zamāna tujhe zamāna milā
mirī talab thī ḳhudā so mirā ḳhudā hai bas
udaas hai na kisī se huā hai jhagḌā koī
baḌe dinoñ se yūñhī dil dukhā huā hai bas
jahāñ pe chāho mire haath ko jhaTak denā
mujhe pata hai ta.alluq ye aam sā hai bas
khaḌī huī huuñ kināre chanāb ke sar-e-shām
bhañvar bhañvar mirī āñkhoñ meñ ghūmtā hai bas
kiyā jo ġhaur to har-samt nāchtī thī aag
mujhe lagā thā mirā ghar hī jal rahā hai bas
hamāre paas nahīñ 'sa.adiya' koī rastā
hamāre paas yahī ek rāstā hai bas
Top Urdushayar.com