durūn-e-chashm  har  ik  ḳhvāb  mar  rahā  hai  bas
hamāre  paas  yahī  āj-kal  bachā  hai  bas
tirī  talab  thī  zamāna  tujhe  zamāna  milā
mirī  talab  thī  ḳhudā  so  mirā  ḳhudā  hai  bas
udaas  hai  na  kisī  se  huā  hai  jhagḌā  koī
baḌe  dinoñ  se  yūñhī  dil  dukhā  huā  hai  bas
jahāñ  pe  chāho  mire  haath  ko  jhaTak  denā
mujhe  pata  hai  ta.alluq  ye  aam  sā  hai  bas
khaḌī  huī  huuñ  kināre  chanāb  ke  sar-e-shām
bhañvar  bhañvar  mirī  āñkhoñ  meñ  ghūmtā  hai  bas
kiyā  jo  ġhaur  to  har-samt  nāchtī  thī  aag
mujhe  lagā  thā  mirā  ghar  hī  jal  rahā  hai  bas
hamāre  paas  nahīñ  'sa.adiya'  koī  rastā
hamāre  paas  yahī  ek  rāstā  hai  bas