Sadiya Safdar Saadi

qalam mein raushni kam aur dhuan ziyaada hai

Sadiya Safdar Saadi

Safdarabad, Punjab, Pakistan

1986
qalam meñ raushnī kam aur dhuāñ ziyāda hai
ġhazal likhī to tabī.at ravāñ ziyāda hai
mujhe to ilm nahīñ tū koī hisāb lagā
kahāñ pe kam hai mohabbat kahāñ ziyāda hai
faqīr laḌkī huuñ mere liye mire ḳhāliq
jo sach kahūñ jo diyā tū ne haañ ziyāda hai
mire makān kā sahrā se kyā muvāzana hai
yahāñ pe shor ziyāda ziyāñ ziyāda hai
hamāre hisse hai jo bhī hameñ nahīñ ma.alūm
zamīñ ziyāda hai yā āsmāñ ziyāda hai
ab us kī vāpsī mumkin nahīñ kisī bhī tarah
yaqīn se kahīñ vo bad-gumāñ ziyāda hai
hamāre shahr meñ phūloñ kā zikr kaun kare
hamāre shahr meñ 'sādī' ḳhizāñ ziyāda hai
Top Urdushayar.com