qalam  meñ  raushnī  kam  aur  dhuāñ  ziyāda  hai
ġhazal  likhī  to  tabī.at  ravāñ  ziyāda  hai
mujhe  to  ilm  nahīñ  tū  koī  hisāb  lagā
kahāñ  pe  kam  hai  mohabbat  kahāñ  ziyāda  hai
faqīr  laḌkī  huuñ  mere  liye  mire  ḳhāliq
jo  sach  kahūñ  jo  diyā  tū  ne  haañ  ziyāda  hai
mire  makān  kā  sahrā  se  kyā  muvāzana  hai
yahāñ  pe  shor  ziyāda  ziyāñ  ziyāda  hai
hamāre  hisse  hai  jo  bhī  hameñ  nahīñ  ma.alūm
zamīñ  ziyāda  hai  yā  āsmāñ  ziyāda  hai
ab  us  kī  vāpsī  mumkin  nahīñ  kisī  bhī  tarah
yaqīn  se  kahīñ  vo  bad-gumāñ  ziyāda  hai
hamāre  shahr  meñ  phūloñ  kā  zikr  kaun  kare
hamāre  shahr  meñ  'sādī'  ḳhizāñ  ziyāda  hai