sard  rāhoñ  meñ  bhaTaktī  huī  shāmoñ  kī  tarah
maiñ  tire  saath  chalī  aa.ī  huuñ  rastoñ  kī  tarah
bas  yahī  dekh  ke  tajdīd-e-mohabbat  kar  lī
ro  paḌā  thā  vo  mire  sāmne  bachchoñ  kī  tarah
ghar  udāsī  ne  paḌāv  hai  kiyā  muddat  se
ḳhvāb  kamroñ  meñ  sajā  rakkhe  haiñ  katboñ  kī  tarah
bāġh-e-hijrāñ  kī  bahāroñ  ke  bhī  sub.hān-allāh
zaḳhm  phūloñ  kī  tarah  phuul  haiñ  zaḳhmoñ  kī  tarah
likh  rahī  huuñ  tire  māthe  pe  koī  'mīr'  kā  sher
paḌh  rahī  huuñ  tirī  āñkhoñ  ko  sahīfoñ  kī  tarah
vo  mujhe  chhoḌ  gayā  hijr  musalle  par  raat
maiñ  adā  kartī  rahī  jis  ko  namāzoñ  kī  tarah
maut  se  rishta  mirā  maañ  kī  tarah  hai  'sādī'
zindagī  lagtī  hai  mujh  ko  sagī  bahnoñ  kī  tarah