in  havāoñ  kī  na  lag  jaa.e  nazar
koñpleñ  niklī  haiñ  dil  kī  shāḳh  par
ab  ke  fasl-e-ġham  nahīñ  laanā  idhar
aane  vaale  mausamoñ  se  baat  kar
merī  ik  ik  saañs  girvī  hai  tirī
ab  tujhe  maiñ  kyā  kahūñ  ai  be-ḳhabar
kaañp  uThtā  hai  ye  piñjra  soch  kar
jab  nikal  ā.eñge  mere  bāl-o-par
chhoḌ  detā  vo  adhūrā  hī  safar
dekh  letā  jo  mujhe  bas  ik  nazar