Sadiya Safdar Saadi

KHud ko jab KHud se kisi rose rihai dungi

Sadiya Safdar Saadi

Safdarabad, Punjab, Pakistan

1986
ḳhud ko jab ḳhud se kisī roz rihā.ī dūñgī
maiñ parindoñ kī tarah uḌtī dikhā.ī dūñgī
zindagī tū mujhe kañgan na bhī pahnā be-shak
maiñ tujhe hañste hue phir bhī kalā.ī dūñgī
mo.ajaze lafz mire ḳhalq kareñge aise
chup rahī phir bhī zamāne ko sunā.ī dūñgī
ghar meñ ḳhvāboñ ko lahū kar ke jalā.ūñgī charāġh
dar-o-dīvār ko āñkhoñ kī kamā.ī dūñgī
tum mujhe hijr kī rūdād sunā denā bas
maiñ tumheñ zaḳhm hasīñ ashk tilā.ī dūñgī
āḳhirī baar uThānā hai mujhe dard kā baar
āḳhirī baar mohabbat kī duhā.ī dūñgī
'sa.adiya' ahd buzurgoñ se nibhā.uñgī sadā
haath ko ḳhuun se maiñ rasm-e-hinā.ī dūñgī
Top Urdushayar.com