ḳhud  ko  jab  ḳhud  se  kisī  roz  rihā.ī  dūñgī
maiñ  parindoñ  kī  tarah  uḌtī  dikhā.ī  dūñgī
zindagī  tū  mujhe  kañgan  na  bhī  pahnā  be-shak
maiñ  tujhe  hañste  hue  phir  bhī  kalā.ī  dūñgī
mo.ajaze  lafz  mire  ḳhalq  kareñge  aise
chup  rahī  phir  bhī  zamāne  ko  sunā.ī  dūñgī
ghar  meñ  ḳhvāboñ  ko  lahū  kar  ke  jalā.ūñgī  charāġh
dar-o-dīvār  ko  āñkhoñ  kī  kamā.ī  dūñgī
tum  mujhe  hijr  kī  rūdād  sunā  denā  bas
maiñ  tumheñ  zaḳhm  hasīñ  ashk  tilā.ī  dūñgī
āḳhirī  baar  uThānā  hai  mujhe  dard  kā  baar
āḳhirī  baar  mohabbat  kī  duhā.ī  dūñgī
'sa.adiya'  ahd  buzurgoñ  se  nibhā.uñgī  sadā
haath  ko  ḳhuun  se  maiñ  rasm-e-hinā.ī  dūñgī