titliyāñ  jugnū  shajar  ḳhushbū  parinde  chhoḌ  kar
hañs  rahī  huuñ  ḳhvāb  saare  maiñ  adhūre  chhoḌ  kar
jis  kī  āñkhoñ  ne  likhā  thā  āḳhirī  nauha  mirā
vo  gayā  bhī  to  gayā  hai  sab  se  pahle  chhoḌ  kar
DhūñDhtī  phirtī  huuñ  apne  aap  ko  kuchh  is  tarah
aa  ga.ī  huuñ  jis  tarah  maiñ  ḳhud  ko  pīchhe  chhoḌ  kar
kāTne  haiñ  ratjage  paḌhte  hue  dīvān-e-mīr
jāgnā  hai  umr  bhar  nīndeñ  sirhāne  chhoḌ  kar
rah  ga.iiñ  vīrān  kachchī  sī  saḌak  par  hichkiyāñ
chal  paḌī  gaaḌī  kisī  ke  haath  hilte  chhoḌ  kar
dekh  le  maiñ  ne  mukammal  kar  liye  haiñ  āḳhirash
tū  gayā  thā  mujh  meñ  apne  naqsh  aadhe  chhoḌ  kar