nahīñ  ma.alūm  jiine  kā  hunar  kaisā  rakhā  hai
hameñ  hālāt  ne  jaise  rakhā  zinda  rakhā  hai
mirī  pāgal  tabī.at  kā  hai  koī  pair  na  sar
nahīñ  dariyā  milā  to  aañkh  meñ  sahrā  rakhā  hai
tumheñ  jis  samt  se  aanā  huā  be-ḳhauf  aanā
tumhāre  vāste  chāroñ  taraf  rasta  rakhā  hai
mire  jaisī  udāsī  shahr  meñ  kis  ko  milī  hai
mirā  jaisā  kisī  ne  kab  bujhā  chehra  rakhā  hai
vo  jitne  bhes  badle  maiñ  use  pahchān  lūñgī
ki  maiñ  ne  aañkh  meñ  us  shaḳhs  kā  naqsha  rakhā  hai
tumhāre  vasl  kī  iftārī  aa.e  yā  na  aa.e
magar  maiñ  ne  tumhāre  hijr  kā  roza  rakhā  hai
kisī  ke  hijr  meñ  bhūlī  huuñ  baaqī  rañg  saare
mirī  almārī  meñ  har  suiT  ab  kaalā  rakhā  hai