Khurshid Ahmad Jami

gul-ba-daman na koi shoala ba-jaan hai ab ke

Khurshid Ahmad Jami

Hyderabad, Telangana, India

1915-1970
gul-ba-dāmāñ na koī sho.ala ba-jāñ hai ab ke
chaar sū vaqt kī rāhoñ meñ dhuāñ hai ab ke
shām-e-hijrāñ jise hāthoñ meñ liye phirtī hai
kaun jaane ki vo tasvīr kahāñ hai ab ke
zindagī raat ke phaile hue sannāTe meñ
duur haTte hue qadmoñ kā nishāñ hai ab ke
terī palkoñ pe koī ḳhvāb laraztā hogā
mere gītoñ meñ koī dard javāñ hai ab ke
ek ik saañs pe dhokā hai kisī aahaT kā
ek ik ghaav ujāloñ kī zabāñ hai ab ke
sahn-e-gulshan hai bahāroñ ke lahū se rañgīñ
shāḳh-e-gul hai ki bas ik teġh-e-ravāñ hai ab ke
jo kabhī husn ke hoñToñ pe na aayā 'jāmī'
haa.e vo harf-e-tasallī bhī garāñ hai ab ke
Top Urdushayar.com