aks  zaḳhmoñ  kā  jabīñ  par  nahīñ  aane  detā
maiñ  ḳharāsh  apne  yaqīñ  par  nahīñ  aane  detā
is  liye  maiñ  ne  ḳhatā  kī  thī  ki  duniyā  dekhūñ
varna  vo  mujh  ko  zamīñ  par  nahīñ  aane  detā
umr  bhar  sīñchte  rahne  kī  sazā  paa.ī  hai
peḌ  ab  chhāñv  hamīñ  par  nahīñ  aane  detā
jhuuT  bhī  sach  kī  tarah  bolnā  aatā  hai  use
koī  luknat  bhī  kahīñ  par  nahīñ  aane  detā
apne  is  ahd  kā  insāf  hai  tāqat  kā  ġhulām
aañch  bhī  kursī-nashīñ  par  nahīñ  aane  detā
chāhtā  huuñ  ki  use  pūjnā  chhoḌūñ  lekin
kufr  jo  ḳhuuñ  meñ  hai  diiñ  par  nahīñ  aane  detā