shuhūd-e-dil-zadgāñ  manzaroñ  meñ  rakh  aanā
lahū  ke  daaġh  guloñ  ke  paroñ  meñ  rakh  aanā
ye  ḳhānvāda-e-mansūr  miT  na  jaa.e  kahīñ
mirī  matā-e-junūñ  kuchh  saroñ  meñ  rakh  aanā
haiñ  in  meñ  band  kisī  ahd-e-rast-ḳhez  ke  aks
ye  merī  āñkheñ  ajā.ib-gharoñ  meñ  rakh  aanā
ye  raat  pichhle  pahar  āftāb  DhūñDegī
charāġh-e-shām  jalā  kar  darūñ  meñ  rakh  aanā
tamām  umr  ik  āñdhī  meñ  par  rakhe  'sālim'
vidā  ho  to  ik  āñdhī  paroñ  meñ  rakh  aanā