Mardan Ali Khan Rana

kar diya zar gham-e-ishq ne aisa mujhko

Mardan Ali Khan Rana

Moradabad, Uttar pradesh, India

-1879
kar diyā zaar ġham-e-ishq ne aisā mujh ko
maut aa.ī bhī to bistar pe na paayā mujh ko
kabhī jañgal kabhī bastī meñ phirāyā mujh ko
aah kyā kyā na kiyā ishq ne rusvā mujh ko
dushman-e-jāñ huā dar-parda mirā jazba-e-ishq
muñh chhupāne lage vo jaan ke shaidā mujh ko
roz-e-raushan ho na kyūñkar mirī āñkhoñ meñ siyāh
hai tire gesū-e-shab-rañg kā saudā mujh ko
ik parī-rū kī mohabbat kā maiñ huuñ dīvāna
na parī kā na kisī jin kā hai saaya mujh ko
roz-o-shab shoḳh ne kyā kyā na dikhā.e nairañg
ruḳh dikhāyā kabhī gesū-e-chalīpā mujh ko
din bhale aa.e to a.adā sabab-e-ḳhair hue
bad-duā ne kiyā aġhyār kī achchhā mujh ko
faḳhr se bazm-e-butāñ meñ vo kahā karte haiñ
pyaar kuchh roz se ab karte haiñ 'ra.anā' mujh ko
Top Urdushayar.com