zikr  jis  kā  sahar-o-shām  se  vābasta  hai
raushnī  zehn  kī  us  naam  se  vābasta  hai
jaise  zarra  kabhī  sūraj  ke  muqābil  aa  jaa.e
yuuñ  mirā  naam  tire  naam  se  vābasta  hai
din  ke  sahrā  meñ  bahut  der  se  shaam  aatī  hai
us  se  milne  kī  duā  shaam  se  vābasta  hai
dard-mandī  bhī  mohabbat  bhī  ravādārī  bhī
kaam  kitnā  dil-e-nākām  se  vābasta  hai
zindagī  zad  pe  rahī  shauq-e-ziyā-pāshī  meñ
ye  rivāyat  bhī  mire  naam  se  vābasta  hai