sunā.e  us  ne  jab  ash.ār  mere
ka.ī  misre  hue  gul-bār  mere
safar  dariyā  kī  rau  par  munhasir  hai
nahīñ  haiñ  haath  meñ  patvār  mere
kahānī  meñ  numāyāñ  ho  ga.e  haiñ
vahī  haiñ  sānvī  kirdār  mere
vo  in  rāhoñ  se  hijrat  kar  ga.e  haiñ
shajar  jitne  the  sāya-dār  mere
havā  manzūm  ho  kar  aa  rahī  hai
abhī  kuchh  log  haiñ  us  paar  mere
vahāñ  par  yuuñ  ke  maskan  ban  ga.e  haiñ
munaqqash  the  dar-o-dīvār  mere
lab-e-dariyā  hai  tasvīroñ  kā  mela
khaḌe  haiñ  ā.ina-bardār  mere