jab  bhī  vo  āsmāñ-janāb  aa.e
saaya  kartā  huā  sahāb  aa.e
harf  miTne  lage  haiñ  zehnoñ  se
phir  koī  sāhib-e-kitāb  aa.e
jab  ko  Duube  hue  zamāna  huā
yaad  kuchh  aise  āftāb  aa.e
zindagī  bahr-e-be-karāñ  hī  sahī
ham  to  bas  sūrat-e-habāb  aa.e
jaise  ḳhālī  makāñ  pe  dastak  ho
dar-o-dīvār  se  javāb  aa.e
varaq-e-zindagī  palaTte  rahe
kāmrānī  kā  koī  baab  aa.e
saare  mazmūñ  mohabbatoñ  par  hoñ
kaash  aisā  koī  nisāb  aa.e
merī  nārāzgī  Thahar  na  sakī
haath  meñ  le  ke  vo  gulāb  aa.e