makr-e-hayāt  ruḳh  kī  qabā  bhī  utaar  dī
ham  ne  taḌap  taḌap  ke  ye  shab  bhī  guzār  dī
ab  ham  pe  ḳhaak  dekhiye  kis  dasht  kī  paḌe
yaañ  to  azān-e-sub.h  sar-e-auj-e-dār  dī
ab  tum  karo  surāġh-e-jamāl-e-butāñ  talāsh
ham  ne  tumheñ  amānat-e-chashm-o-azār  dī
dekhī  haiñ  yuuñ  bhī  chāragaroñ  kī  karāmateñ
zaḳhm-e-lahū-lahū  ko  davā  ḳhaar  ḳhaar  dī
yuuñ  bhī  kiyā  hai  ham  ne  haq-e-dilbarī  adā
apnī  hī  jiit  apne  hī  hāthoñ  se  haar  dī
'sālim'  ḳhushā  hai  us  ko  bahut  tujh  pe  e'timād
jis  ne  tujhe  aziyyat-e-dil  be-shumār  dī