bhūloñ  unheñ  kaise  kaise  kaise
vo  lamhe  jo  tere  saath  guzre
hai  rāh-numā  jibillat  un  kī
be-his  nahīñ  mausamī  parinde
ai  dānish-var  mafar  nahīñ  hai
iqrār-e-vajūd-e-kibriyā  se
jaanā  koī  kārsāz  bhī  hai
TuuTe  ban  ban  ke  jab  irāde
mehrāb  umuud  burj  qauseñ
ras  meñ  Duube  bhare  bhare  se
bahr-e-kāfūr  meñ  talātum
bhoñrā  baiThā  kañval  ko  chūse
chāk-e-ufqī  harīm-e-zohra
rah  rah  ke  madan  tarañg  jhalke
jhilmil  jhilmil  badan  kā  sonā
lahrā.eñ  laTeñ  kamar  se  nīche
kyā  chāñd  sī  sūrateñ  banā.īñ
qurbān  ai  niilī  chhatrī  vaale