phūlī  hai  shafaq  go  ki  abhī  shaam  nahīñ  hai
hai  dil  meñ  vo  ġham  jis  kā  koī  naam  nahīñ  hai
kis  ko  nahīñ  kotāhī-e-qismat  kī  shikāyat
kis  ko  gila-e-gardish-e-ayyām  nahīñ  hai
aflāk  ke  saa.e  tale  aisā  bhī  hai  koī
jo  said-e-zabūñ  māya-e-ālām  nahīñ  hai
chhilkoñ  ke  haiñ  ambār  magar  maġhz  nadārat
duniyā  meñ  musalmāñ  to  haiñ  islām  nahīñ  hai
īmāñ  nahīñ  momin  kā  mukāfāt-e-amal  par
ummīd-e-karam  kyā  tama-e-ḳhām  nahīñ  hai
masjid  ho  ḳharābāt  ho  yā  kū-e-butāñ  ho
is  qalb-e-tapāñ  ko  kahīñ  ārām  nahīñ  hai
ai  māh-visho  lāla-ruḳho  vasl  kī  ham  ko
ḳhvāhish  to  hai  be-shak  magar  ibrām  nahīñ  hai
kaifī  haiñ  mai-e-nāb-e-ḳhum-e-mehr-shuda  ke
ham  ko  talab-e-durd-e-tah-e-jām  nahīñ  hai
lafzoñ  ke  dar-o-bast  pe  har-chand  ho  qādir
shā.er  nahīñ  jo  sāhab-e-ilhām  nahīñ  hai
har  baat  hai  'ḳhālid'  meñ  pasandīda  o  matbū
ik  pairvī-e-rasm-o-rah-e-ām  nahīñ  hai