zamīñ-nazhād  haiñ  lekin  zamāñ  meñ  rahte  haiñ
makāñ  nasīb  nahīñ  lā-makāñ  meñ  rahte  haiñ
vo  Dol  Dāleñ  kisī  kār-e-pā.edār  kā  kyā
jo  be-sabātī-e-umr-e-ravāñ  meñ  rahte  haiñ
ham  aise  ahl-e-chaman  gosha-e-qafas  meñ  bhī
hisāb-e-ḳhār-o-ḳhas-e-āshiyāñ  meñ  rahte  haiñ
na  būd-o-bāsh  ko  pūchho  ki  ham  faqīr-manash
suḳhan  ke  ma.abad-e-be-sā.ebāñ  meñ  rahte  haiñ
kahāñ  talāsh  karoge  hameñ  ki  ham  to  mudām
huzūrī-e-dil-e-be-ḳhānumāñ  meñ  rahte  haiñ
nashe  kī  lahr  meñ  ḳhum  ḳhum  luñDhā  ke  āb-e-hayāt
sarāb-e-zindagī-e-jāvedāñ  meñ  rahte  haiñ
na.ī  mohabbateñ  'ḳhālid'  purānī  dostiyāñ
azāb-e-kashmakash-e-be-amāñ  meñ  rahte  haiñ