fat.h  kitnī  ḳhūb-sūrat  hai  magar  kitnī  garāñ
bārhā  rad  kī  hai  maiñ  ne  dāvat-e-vasl-e-butāñ
naġhma-e-bulbul  hai  faryād-e-vidā-e-fasl-e-gul
sa.ī-e-hāsil  dar-haqīqat  hai  matā-e-rā.egāñ
zinda  rahne  ke  haiñ  imkānāt  kyā  āsār  kyā
kaun  sī  qadreñ  haiñ  baaqī  kaun  sī  sachchā.iyāñ
shā.iroñ  kā  kaam  kyā  tansīq-e-ausāf-o-luġhūt
yā  sanā  shāhoñ  kī  yā  mad.h-e-sarāpā-e-butāñ
zahr  hai  fan  ke  liye  darbār-dārī  kā  mizāj
kam-tarīn-e-shart-e-goyā.ī  hai  iḳhlās-e-bayāñ
tere  hāthoñ  par  lagā  hai  be-gunāhoñ  kā  lahū
jām-e-jam  meñ  mai  nahīñ  ḳhūn-e-siyādish  hai  muġhāñ
maiñ  to  piitā  huuñ  faqat  gulnār  hoñToñ  kī  sharāb
sabbeh-ism-e-rabbekal-ālā  rahe  vird-e-zabāñ
ḳhatm  haiñ  is  shoḳh  rā.anā  par  tarah-dārī  ke  rañg
qadd-e-bālā  jis  kā  hai  rashk-e-qazīb-e-ḳhaizrāñ
jhanjhanā  uThne  ko  haiñ  betāb  tan  biinā  ke  taar
kaun  laa.e  taab  husn-e-be-hijāb-e-mah-vashāñ
be-niyāz-e-harf  hai  guftār-e-chashm-e-pur-suḳhan
darmiyān-e-mahramān-e-jāñ  hai  nā-mahram  zabāñ
koī  tanhā.ī  kā  gosha  koī  kunj-e-āfiyat
āshiq-o-māshūq  yakjā  hoñ  kahāñ  ai  āsmāñ
ai  muhibbo  rāh-e-ulfat  meñ  har  ik  shai  hai  mubāh
kis  ne  khīñchā  hai  ḳhat-e-hijrāñ  tumhāre  darmiyāñ
titliyāñ  dekhī  haiñ  baiThī  ḳhushk  phūloñ  par  kabhī
hājateñ  apnī  karo  tum  ḳhūb-rūoñ  se  bayāñ
ham  ne  nīndeñ  de  ke  rātoñ  se  ḳharīde  ratjage
ham  se  kam  hoñge  ukāz-e-dahr  meñ  bāzārgāñ
rāt-din  sunte  haiñ  tasvīlāt-e-arbāb-e-hasad
ehtiyāj-e-dushmanāñ  bhī  hai  hunar  ko  be-gumāñ
jaane  kin  auqāt  meñ  likhtā  thā  qānūn-o-shifā
bū-alī-sīnā  vo  maqtūl-e-muġhāñ  sheva-butāñ
maut  se  vahshat  hai  logoñ  ko  mohabbat  maal  se
bāñg-e-be-hañgām  hai  kūs-e-rahīl-e-kārvāñ
hai  qarīb  ai  shab  zarā  sub.h-e-qayāmat  kā  tulūa
TūTne  ko  hai  azal-tābāñ  tanāb-e-kahkashāñ
tum  akele  aa.e  duniyā  meñ  akele  jāoge
zindagī  ik  pal  hai  kyā  pul  par  banāte  ho  makāñ
ḳhizr  zinda  hai  magar  zindānī-e-umr-e-abad
ai  ajal  kis  kaam  kī  aisī  hayāt-e-jāvidāñ
maiñ  bhī  huuñ  mānind  māmūñ  ke  amīr-ul-kāfrīñ
bas-ki  huuñ  vārafta-e-fikr-o-fan-e-yūnāniyāñ
hai  sulaimāñ  kī  taraf  vāqif  lisān-uttair  se
shā.ir-e-zohra-nigāhāñ  ḳhālid-e-uqda-zabāñ
go  harīm-e-āgahī  kī  shakl  bhī  dekhī  nahīñ
hai  ba-zom-e-ḳhvesh  dānā-e-rumūz-e-kun-fakāñ