na  betābī  na  āshufta-sarī  hai
hamārī  zindagī  kyā  zindagī  hai
fareb-e-ārzū  khā.eñ  to  kyuuñ  kar
taġhāful  hai  na  begāna-vashī  hai
faroġh-e-ishq  hai  mahrūmiyoñ  se
vafā-keshī  ba-qadr-e-nā-rasī  hai
mire  qasr-e-tamannā  kī  nigahbāñ
nigāh-e-nāz  kī  begānagī  hai
mohabbat  ke  sivā  jaada  na  manzil
mohabbat  ke  sivā  sab  gumrahī  hai
mohabbat  meñ  shikāyat  kyā  gila  kyā
mohabbat  bandagī  hai  bandagī  hai
ḳhudā  bar-haq  magar  is  ko  kareñ  kyā
butoñ  meñ  sad-fusūn-e-dilbarī  hai
mujhe  nafrat  nahīñ  jannat  se  lekin
gunāhoñ  meñ  ajab  ik  dilkashī  hai
na  do  hūr-o-mai-o-kausar  ke  ta.ane
ki  zāhid  bhī  to  āḳhir  aadmī  hai