Habeeb Ahmad Siddiqui

aur ai chashm-e-tarab baada-e-gulfam abhi

Habeeb Ahmad Siddiqui

Seohara, Uttar pradesh, India

1908
aur ai chashm-e-tarab bāda-e-gulfām abhī
dil hai be-gāna-e-andesha-e-anjām abhī
bāda-o-sāqī-o-mutrib kā na lo naam abhī
gard-ālūd hai ā.īna-e-ayyām abhī
dil hai majrūh par-o-bāl shikasta hamdam
daam se chhūT ke bhī huuñ maiñ tah-e-dām abhī
mānī-o-maqsad-e-hastī kā samajhnā ma.alūm
aql hai sirf parastārī-e-auhām abhī
ishrat-e-jalva-e-be-bāk mubārak ai ishq
dīda-o-dil haiñ magar tishna-e-paiġhām abhī
ġham nahīñ sab pe agar chashm-e-karam hai terī
ġham to ye hai ki sitam bhī hai tirā aam abhī
ai subuk-sair-e-nazar ek payām-e-rañgīñ
hai harīf-e-ġham-e-dil gardish-e-ayyām abhī
dāvat-e-shauq ba-unvān-e-sitam bhī to nahīñ
us pe ilzām ki hai jazba-e-dil ḳhaam abhī
tū ne kyā chiiz banā dī nigah-e-sehr-tarāz
vo jo thī shīsha-e-dil meñ mai-e-be-nām abhī
zindagī manzil-e-maqsūd se āgāh nahīñ
us kī me.arāj hai parvāz sar-e-bām abhī
kis ko ye hosh ki paiġhām-e-mohabbat samjhe
dil hai vārafta-e-rañgīnī-e-paiġhām abhī
Top Urdushayar.com