duniyā  ko  rū-shanās-e-haqīqat  na  kar  sake
ham  jitnā  chāhte  the  mohabbat  na  kar  sake
sāmān-e-gul-faroshī-e-rāhat  na  kar  sake
rāhat  ko  ham  sharīk-e-mohabbat  na  kar  sake
yuuñ  kasrat-e-jamāl  ne  luuTī  matā-e-dīd
taskīn-e-tishna-kāmī-e-hairat  na  kar  sake
ab  ishq-e-ḳhām-kār  hī  armāñ  ko  de  javāb
ham  un  ko  be-qarār-e-mohabbat  na  kar  sake
be-mehriyoñ  se  kaam  rahā  go  tamām-umr
be-mehriyoñ  ko  sahne  kī  aadat  na  kar  sake
kuchh  aisī  iltifāt-numā  thī  nigāh-e-dost
hote  rahe  tabāh  shikāyat  na  kar  sake
nākāmiyāñ  to  farz  adā  apnā  kar  ga.iiñ
ham  haiñ  ki  e'tirāf-e-hazīmat  na  kar  sake
faḳhr-e-munāsibat  meñ  tirā  naam  le  liyā
ham  ḳhud  hī  pardā-dārī-e-ulfat  na  kar  sake
har-chand  hāl-e-dīda-o-dil  ham  kahā  kiye
tashrīh-e-kaifiyāt-e-mohabbat  na  kar  sake
aflāk  par  to  ham  ne  banā.īñ  hazār-hā
ta.amīr  koī  dahr  meñ  jannat  na  kar  sake
hamsā.egī-e-zāhid-e-bad-ḳhū  ke  ḳhauf  se
parvardigār  terī  ibādat  na  kar  sake