Habeeb Ahmad Siddiqui

un nigahon ko ajab tarz-e-kalam aata hai

Habeeb Ahmad Siddiqui

Seohara, Uttar pradesh, India

1908

un nigāhoñ ko ajab tarz-e-kalām aatā hai

aisā lagtā hai bahāroñ payām aatā hai

marhala hotā hai jab dār-o-rasan darpesh

qur.a-e-fāl ham aisoñ ke naam aatā hai

ai mire nāseh-e-mushfiq kabhī ye bhī sochā

kaun duniyā meñ ḳhushī se tah-e-dām aatā hai

bāda-noshī meñ bhī hai kaif-e-sukūñ-baḳhsh magar

haa.e vo kaif jo be-minnat-e-jām aatā hai

apnī hañstī bhī ehsās jahāñ ho na sake

ālam-e-hosh meñ ik vo bhī maqām aatā hai

pesh-dastī hai ḳharābāt-e-jahāñ dastūr

takte rahne se kahīñ haath meñ jaam aatā hai

ahl-e-himmat ke hasīñ ḳhvāboñ niklī ta.abīr

ibn-e-ādam ko sitāroñ salām aatā hai

Top Urdushayar.com