mujh  ko  dimāġh-e-shevan-o-āh-o-fuġhāñ  nahīñ
ik  ātish-e-ḳhamosh  huuñ  jis  meñ  dhuāñ  nahīñ
kis  sādgī  se  kahte  ho  ham  rāz-dāñ  nahīñ
vo  kaun  sā  hai  raaz  jo  tum  par  ayaañ  nahīñ
vo  dushman-e-sukūn-e-dil-o-jāñ  yahī  na  ho
ma.asūm  sī  nigāh  ki  jis  par  gumāñ  nahīñ
hai  aag  sī  lagī  huī  rag  rag  meñ  kyā  kahūñ
ik  chashm-e-intizār  hī  yaañ  ḳhūñ-chakāñ  nahīñ
yuuñ  dekhtā  huuñ  barq  ko  allāh  re  be-dilī
jaise  kahīñ  chaman  meñ  mirā  āshiyāñ  nahīñ
is  chashm-e-nāz  kī  koī  dekhe  fusūñ-garī
bār-e-hayāt  bhī  mujhe  ab  to  garāñ  nahīñ
ai  mast-e-nāz  mashq-e-sitam  is  se  bhī  sivā
ai  zauq-e-dard  haif  agar  jāvedāñ  nahīñ
ai  dil  sar-e-niyāz  ko  kyā  qaid-e-sañg-o-dar
ka.aba  hī  kyā  burā  hai  jo  vo  āstāñ  nahīñ
kī  fursat-e-hayāt  tirī  justujū  meñ  sirf
ai  vaa.e  gar  hunūz-e-vafā  kā  gumāñ  nahīñ