naved-e-āmad-e-fasl-e-bahār  bhī  to  nahīñ
ye  be-dilī  hai  ki  ab  intizār  bhī  to  nahīñ
jo  bhuul  jaa.e  koī  shaġhl-e-jām-o-mīnā  meñ
ġham-e-habīb  ġham-e-rozgār  bhī  to  nahīñ
marīz-e-bāda-e-ishrat  ye  ik  jahāñ  kyuuñ  hai
surūr-e-bāda  ba-qadr-e-ḳhumār  bhī  to  nahīñ
matā-e-sabr-o-sukūñ  jis  ne  dil  se  chhīn  liyā
vo  dil-navāz  adā-āshkār  bhī  to  nahīñ
qafas  meñ  jī  mirā  lag  to  nahīñ  gayā  hamdam
ki  ab  vo  nāla-e-be-iḳhtiyār  bhī  to  nahīñ
hai  ain  vasl  meñ  bhī  pur-ḳharosh-e-parvāna
sukūn-e-qalb  ba-āġhosh-e-yār  bhī  to  nahīñ
nigāh-e-nāz  ki  be-gāna-e-mohabbat  hai
sitam  to  ye  hai  ki  be-gāna-vār  bhī  to  nahīñ
vo  ek  rahbar-e-nādāñ  ki  jis  ko  ishq  kaheñ
Dubo  ke  kashtī-e-dil  sharmsār  bhī  to  nahīñ
junūñ  ko  dars-e-amal  de  ke  kyā  kare  koī
ba-qadr-e-hausla-e-dil  bahār  bhī  to  nahīñ