ḳhizāñ-nasīb  kī  hasrat  ba-rū-e-kār  na  ho
bahār  sho.abada-e-chashm-e-intizār  na  ho
fareb-ḳhurda-e-ulfat  se  pūchhiye  kyā  hai
vo  ek  ahd-e-mohabbat  ki  ustuvār  na  ho
nazar  ko  tāb-e-nazāra  na  dil  ko  jur.at-e-dīd
jamāl-e-yār  se  yuuñ  koī  sharmsār  na  ho
qabā-darīda-o-dāmān-o-āstīñ  ḳhūnīñ
guloñ  ke  bhes  meñ  ye  koī  dil-figār  na  ho
na  ho  sakegā  vo  ramz-āshnā-e-kaif-e-hayāt
jo  qalb  chashm-e-taġhāful  kā  rāzdār  na  ho
tarīq-e-ishq  pe  hañstī  to  hai  ḳhirad  lekin
ye  gumrahī  kahīñ  manzil  se  ham-kanār  na  ho
na  ta.ana-zan  ho  koī  ahl-e-hosh  mastoñ  par
ki  zo.am-e-hosh  bhī  ik  ālam-e-ḳhumār  na  ho
vo  kyā  batā.e  ki  kyā  shai  umiid  hotī  hai
jise  nasīb  kabhī  shām-e-intizār  na  ho
ye  chashm-e-lutf  mubārak  magar  dil-e-nādāñ
payām-e-ishva-e-rañgīñ  salā-e-dār  na  ho
kisī  ke  lab  pe  jo  aa.e  naved-e-zīst  bane
vahī  hadīs-e-vafā  jis  pe  e.atibār  na  ho
jo  do-jahān  bhī  māñge  to  maiñ  ne  kyā  māñgā
vo  kyā  talab  jo  ba-qadr-e-atā-e-yār  na  ho