jabīñ-e-navāz  kisī  kī  fusūñ-garī  kyuuñ  hai
sarisht-e-husn  meñ  is  darja  dilkashī  kyuuñ  hai
kisī  kī  saada  jabīñ  kyuuñ  banī  hai  sehr-tarāz
kisī  kī  baat  meñ  ejāz-e-īsvī  kyuuñ  hai
kisī  kī  zulf-e-mo.ambar  meñ  kyuuñ  hai  gīrā.ī
fidā-e-gesū-e-mushkeñ  ye  zindagī  kyuuñ  hai
tire  shi.ār-e-taġhāful  pe  zindagī  qurbāñ
tire  shi.ār-e-taġhāful  meñ  dilkashī  kyuuñ  hai
kahīñ  ziyā-e-tabassum  na  ho  karam-farmā
jumūd-e-qalb  meñ  haijān-e-zindagī  kyuuñ  hai
ye  kab  kahā  hai  ki  tum  vaj.h-e-shorish-e-dil  ho
ye  pūchhtā  huuñ  ki  dil  meñ  ye  bekalī  kyuuñ  hai
nigāh-e-nāz  ki  vābasta-e-jigar  thī  kabhī
batā  fareb-e-tamannā  ki  sarsarī  kyuuñ  hai
bhaTak  bhaTak  ke  maiñ  nākām-e-justujū  hī  rahā
ḳhamosh  mere  liye  sham-e-rahbarī  kyuuñ  hai
hayāt-o-maut  na  apnī  na  maiñ  hī  ḳhud  apnā
mire  vajūd  pe  ilzām-e-zindagī  kyuuñ  hai
rag-e-hayāt  meñ  dauḌā  ke  barq-e-sartābī
ḳhatā-muāf  ye  ilzām-e-ḳhud-sarī  kyuuñ  hai
bisāt-e-dahr  sahī  jalva-gāh-e-husn-e-azal
nigāh-e-shauq  fuġhāñ-sanj-e-tishnagī  kyuuñ  hai