Ahmad Fareed

din se bichhDi hui baraat liye phirti hai

Ahmad Fareed

1970
din se bichhḌī huī bārāt liye phirtī hai
chāñd tāroñ ko kahāñ raat liye phirtī hai
ye kahīñ us ke mazālim kā mudāvā hī na ho
ye jo pattoñ ko havā saath liye phirtī hai
chalte chalte hī sahī baat to kar lī jaa.e
ham ko duniyā meñ yahī baat liye phirtī hai
lamha lamha tirī furqat meñ pighaltī huī umr
garmi-e-shauq-e-mulāqāt liye phirtī hai
varna ham shahr-e-gul-āzār meñ kab aate the
ye to ham ko bharī-barsāt liye phirtī hai
jis taraf se maiñ guzartā bhī nahīñ thā pahle
ab vahīñ gardish-e-hālāt liye phirtī hai
Top Urdushayar.com