Abdur Rahim Nashtar

main teri chah mein jhuTa hawas mein sachcha hun

Abdur Rahim Nashtar

maiñ terī chaah meñ jhūTā havas meñ sachchā huuñ
burā samajh le magar dūsroñ se achchhā huuñ
maiñ apne aap ko jachtā huuñ be-hisāb magar
na jaane terī nigāhoñ maiñ kaisā lagtā hoñ
bichhā rahā huuñ ka.ī jaal ird-gard tire
tujhe jakaḌne kī ḳhvāhish meñ kab se baiThā hoñ
tū barf hai to pighal jā.egā tamāzat se
tū aag hai to maiñ jhoñkā tujhe havā kā huuñ
bikhar bhī jaa.e to mujh se na bach sakegā kabhī
tujhe sameT ke lafzoñ meñ bāñdh saktā hoñ
maiñ yuuñ bhī huuñ mujhe mālūm hī na thā 'nashtar'
samajh rahā thā bahut nek huuñ farishta huuñ
Top Urdushayar.com