Abdur Rahim Nashtar

phir ek nae safar pe chala hun makan se

Abdur Rahim Nashtar

phir ik na.e safar pe chalā huuñ makān se
koī pukārtā hai mujhe āsmān se
āvāz de rahā hai akelā ḳhudā mujhe
maiñ us ko sun rahā huuñ havāoñ ke kaan se
kuchh din to be-gharī kā tamāsha bhī dekh luuñ
yuuñ bhī hai jī uchāT purāne makān se
donoñ hī ham-safar the havāoñ ke dosh par
par maiñ huuñ chuur chuur safar kī takān se
pairoñ tale dabī hai vahī ret kī chaTān
mujh ko havā ne pheñk diyā āsmān se
vo zad pe aa gayā thā nihattā bhī thā magar
maiñ ne hī koī tiir na chhoḌā kamān se
mere laboñ pe khel rahī hai vahī hañsī
har-chand ret ret huā huuñ chaTān se
Top Urdushayar.com