bhūlī-bisrī  yādoñ  ko  lipTā.e  hue  huuñ
TuuTā  jaal  samundar  par  phailā.e  hue  huuñ
vahshat  karne  se  bhī  dil  bezār  huā  hai
dasht  o  samundar  āñchal  meñ  simTā.e  hue  huuñ
vo  ḳhushbū  ban  kar  aa.e  to  be-shak  aa.e
maiñ  bhī  dast-e-sabā  se  haath  milā.e  hue  huuñ
TūTe-phūTe  lafzoñ  ke  kuchh  rañg  ghule  the
un  kī  mehñdī  aaj  talak  bhī  rachā.e  hue  huuñ
jin  bātoñ  ko  sunñā  tak  bār-e-ḳhātir  thā
aaj  unhīñ  bātoñ  se  dil  bahlā.e  hue  huuñ