ek  ke  ghar  kī  ḳhidmat  kī  aur  ek  ke  dil  se  mohabbat  kī
donoñ  farz  nibhā  kar  us  ne  saarī  umr  ibādat  kī
dast-e-talab  kuchh  aur  baḌhāte  haf-iqlīm  bhī  mil  jaate
ham  ne  to  kuchh  TūTe-phūTe  jumloñ  hī  pe  qanā.at  kī
shohrat  ke  gahre  dariyā  meñ  Duube  to  phir  ubhre  nahīñ
jin  logoñ  ko  apnā  samjhā  jin  logoñ  se  mohabbat  kī
ek  dorāhā  aisā  aayā  donoñ  TuuT  ke  gir  jaate
bachchoñ  ke  hāthoñ  ne  sambhālā  būḌhoñ  hī  ne  hifāzat  kī
jāma-e-ulfat  bunte  aa.e  rishtoñ  ke  dhāgoñ  se  ham
umr  kī  qaiñchī  kaaT  ga.ī  ab  kaahe  ko  itnī  mehnat  kī