naqsh  kī  tarah  ubharnā  bhī  tumhī  se  sīkhā
rafta  rafta  nazar  aanā  bhī  tumhī  se  sīkhā
tum  se  hāsil  huā  ik  gahre  samundar  kā  sukūt
aur  har  mauj  se  laḌnā  bhī  tumhī  se  sīkhā
achchhe  sheroñ  kī  parakh  tum  ne  hī  sikhlā.ī  mujhe
apne  andāz  se  kahnā  bhī  tumhī  se  sīkhā
tum  ne  samjhā.e  mirī  soch  ko  ādāb  adab
lafz  o  ma.anī  se  ulajhnā  bhī  tumhī  se  sīkhā
rishta-e-nāz  ko  jaanā  bhī  to  tum  se  jaanā
jāma-e-faḳhr  pahannā  bhī  tumhī  se  sīkhā
chhoTī  sī  baat  pe  ḳhush  honā  mujhe  aatā  thā
par  baḌī  baat  pe  chup  rahnā  tumhī  se  sīkhā