ye  sach  hai  yahāñ  shor  ziyāda  nahīñ  hotā
ghar-bār  ke  bāzār  maiñ  par  kyā  nahīñ  hotā
jabr-e-dil-e-be-mehr  kā  charchā  nahīñ  hotā
tārīki-e-shab  meñ  koī  chehra  nahīñ  hotā
har  jazba-e-māsūm  kī  lag  jaatī  hai  bolī
kahne  ko  ḳharīdār  parāyā  nahīñ  hotā
aurat  ke  ḳhudā  do  haiñ  haqīqī  o  majāzī
par  us  ke  liye  koī  bhī  achchhā  nahīñ  hotā
shab-bhar  kā  tirā  jāgnā  achchhā  nahīñ  'zehrā'
phir  din  kā  koī  kaam  bhī  puurā  nahīñ  hotā