lab  par  ḳhamoshiyoñ  ko  sajā.e  nazar  churā.e
jo  ahl-e-dil  meñ  baiThe  haiñ  chup-chāp  sar  jhukā.e
kah  do  koī  sabā  se  idhar  āj-kal  na  aa.e
kaliyāñ  kahīñ  mahak  na  uTheñ  phuul  khil  na  jaa.e
ab  dostī  vo  fan  ki  jo  sīkhe  vahī  nibhā.e
aur  hai  vafā  tamāshā  jise  aa.e  vo  dikhā.e
kuchh  kahnā  jurm  hai  to  ḳhatā-vār  maiñ  bhī  huuñ
ye  aur  baat  merā  kahā  vo  samajh  na  paa.e