yuuñ  kahne  ko  pairāya-e-iz.hār  bahut  hai
ye  dil  dil-e-nādāñ  sahī  ḳhuddār  bahut  hai
dīvānoñ  ko  ab  vus.at-e-sahrā  nahīñ  darkār
vahshat  ke  liye  sāya-e-dīvār  bahut  hai
bajtā  hai  galī-kūchoñ  meñ  naqqāra-e-ilzām
mulzim  ki  ḳhamoshī  kā  vafādār  bahut  hai
jab  husn-e-takallum  pe  kaḌā  vaqt  paḌe  to
aur  kuchh  bhī  na  baaqī  ho  to  takrār  bahut  hai
ḳhud  ā.īna-gar  ā.īna  chhoḌe  to  nazar  aa.e
dahkā  huā  har  shola-e-ruḳhsār  bahut  hai
munsif  ke  liye  izn-e-samā.at  pe  haiñ  pahre
aur  adl  kī  zanjīr  meñ  jhankār  bahut  hai