qurbatoñ  se  kab  talak  apne  ko  bahlā.eñge  ham
Doriyāñ  mazbūt  hoñgī  chhuTte  jā.eñge  ham
terā  ruḳh  saa.e  kī  jānib  merī  āñkheñ  sū-e-mahr
dekhnā  hai  kis  jagah  kis  vaqt  mil  pā.eñge  ham
ghar  ke  saare  phuul  hañgāmoñ  kī  raunaq  ho  ga.e
ḳhālī  gul-dānoñ  se  bāteñ  karke  so  jā.eñge  ham
adh-khulī  takiye  pe  hogī  ilm-o-hikmat  kī  kitāb
vasvasoñ  vahmoñ  ke  tūfānoñ  meñ  ghar  jā.eñge  ham
us  ne  āhista  se  'zahra'  kah  diyā  dil  khil  uThā
aaj  se  is  naam  kī  ḳhushbū  meñ  bas  jā.eñge  ham