dil  bujhne  lagā  ātish-e-ruḳhsār  ke  hote
tanhā  nazar  aate  haiñ  ġham-e-yār  ke  hote
kyuuñ  badle  hue  haiñ  nigah-e-nāz  ke  andāz
apno  pe  bhī  uTh  jaatī  hai  aġhyār  ke  hote
vīrāñ  hai  nazar  merī  tire  ruḳh  ke  muqābil
āvāra  haiñ  ġham  kūcha-e-dildār  ke  hote
ik  ye  bhī  adā-e-dil-e-āshufta-sarāñ  thī
baiThe  na  kahīñ  sāya-e-dīvār  ke  hote
jiinā  hai  to  jī  leñge  bahar-taur  divāne
kis  baat  kā  ġham  hai  rasan-o-dār  ke  hote